Hai Tere Saath Meri Wafa Lyrics

Posted by & filed under .

Album: Hindustan Ki Kasam (1973)

Hai tere saath meri wafa

Hai tere saath meri wafa
Main nahin to kya
Zinda rahega pyar mera
Main nahin to kya

Main nahin to kya
Main nahin to kya
Hai tere saath meri wafa
Main nahin to kya

Tere liye ujaalon ki
Koi kami nahin
Tere liye ujaalon ki
Koi kami nahin
Sab teri roshni hai
Meri roshni nahin

Koi naya chirag jala
Koi naya chirag jala
Main nahin to kya
Hai tere saath meri wafa
Main nahin to kya

Kuch dhadkano ka zikr hgo
Kuch dil ki baat ho
Kuch dhadkano ka zikr hgo
Kuch dil ki baat ho
Mumkin hai iske baad
Na din ho na raat ho

Mere liye na ashk baha
Mere liye na ashk baha
Main nahin to kya
Main nahin to kya
Main nahin to kya

Hai tere saath meri wafa
Main nahin to kya
Zinda rahega pyar mera
Main nahin to kya