Kuch Na Kaho Lyrics

Posted by & filed under .

Album: 1942 A love Story (1994)

Kuch na kaho, kuch bhi na kaho
Kuch na kaho, kuch bhi na kaho
Kya kehna hai, kya sunna hai
Mujhko pata hai, tumko pata hai

Samay ka yeh pal tham sa gaya hai
Aur is pal mein koi nahin hai
Bas ek main hoon, bas ek tum ho
Kuch na kaho, kuch bhi na kaho

Khoyi sab pehchane, khoye saare apne
Samay ki chalne se gir girke khoye saare sapne
Khoyi sab pehchane, khoye saare apne
Samay ki chalne se gir girke khoye saare sapne

Aur is pal mein koi nahin hai
Bas ek main hoon, bas ek tum ho
Kuch na kaho, kuch bhi na kaho

Humne jab dekhe the sundar komal sapne
Phool sitarein parbat baadal sab lagte the apne
Humne jab dekhe the sundar komal sapne
Phool sitarein parbat baadal sab lagte the apne

Aur is pal mein koi nahin hai
Bas ek main hoon, bas ek tum ho

Kuch na kaho, kuch bhi na kaho
Kya kehna hai, kya sunna hai
Mujhko pata hai, tumko pata hai

Samay ka yeh pal tham sa gaya hai
Aur is pal mein koi nahin hai
Bas ek main hoon, bas ek tum ho