Suhani Raat Dhal Chuki Lyrics

Posted by & filed under .

Film: Dulari (1949)

Suhani raat dhal chuki
Na jane tum kab aaoge
Suhani raat dhal chuki
Na jane tum kab aaoge

Jahan ki rutt badal chuki
Na jane tum kab aaoge

Nazarein apni mastiyan
Dikha dikha ke so gaye
Sitaarein apni roshni
Loota loota ke so gaye

Har ek shamma jal chuki
Na jane tum kab aaoge
Suhani raat dhal chuki
Na jane tum kab aaoge

Tadap rahe hain hum yaha’
Tadap rahe hain hum yaha
Tumhare intezar mein
Tumhare intezar mein

Fizaa ka rang aa chala hain
Musam-e-bahar mein
Fizaa ka rang aa chala hain
Musam-e-bahar mein
Musam-e-bahar mein

Hawa bhi rukh badal chuki
Na jane tum kab aaoge
Suhani raat dhal chuki
Na jane tum kab aaoge