Tum agar saath dene ka Lyrics

Posted by & filed under , , .

Album name:- Hamraaz (1967)
Singer :- Mahendra Kapoor.
Performer:- Sunil Dutta.

Tum agar saath dene ka

Tum agar saath dene ka vaada karo
Main yunhi mast nagmein lutata rahoon
Tum mujhe dekhkar muskurati raho
Main tumhe dekhkar geet gata rahoon

Kitne jalwe fizaaon mein bhikre magar
Maine ab tak kisiko pukaara nahi
Tumko dekha toh nazrein ye kehne lagi
Humko chehre se hatna gawara nahi
Tum agar meri nazron ke aage raho
Main har ek sheh se nazrein churata rahoon

Tum mujhe dekhkar muskurati raho
Main tumhe dekhkar geet gata rahoon

Maine Khwaabon mein barso taraasha jisse
Tum wahi sang e marmarr ki tasveer ho
Tum na samjho tumhara muqaddar hun main
Main samjhta hoon tum meri taqdeer ho
Tum Agar mujhko apna samajhne lago
Main baharon ki mahfil sajata rahoon

Tum mujhe dekhkar muskurati raho
Main tumhe dekhkar geet gata rahoon

Main akela bahut der chalta raha
Ab safar zindgaani ka kat ta nahi
Jab talak koi rangeen sahara na ho
Waqt kaafir jawaani ka kat ta nahi
Tum agar hum kadam banke chalti raho
Main zameen pe sitbaare bichhaata rahoon

Tum agar saath dene ka vaada karo
Main yunhi mast nagmein lutata rahoon
Tum mujhe dekhkar muskurati raho
Main tumhe dekhkar geet gata rahoon