Bada Natakhat Hai Re Krishhn Kanhaiya Lyrics

Posted by & filed under , , , , , .

Album name:-Amar Prem (1972)
Singer: – Lata Mangeshkar
Actor:-Sharmila Tagore, Rajesh Khanna
Lyricist :Anand Bakshi
Music By:-R D Burman

bada natakhat hai re krishhn kanhaiya, ka kare yashoda maiya
bada natakhat hai re krishhn kanhaiya, ka kare yashoda maiya
ha bada natakhat hai re

dhundhe ri ankhiya use charo or
janey kaha chhup gaya nandakishor
dhundhe ri ankhiya use charo or
janey kaha chhup gaya nandakishor
ud gaya aise jaise purawaya, ka kare yashoda maiya
ha bada natakhat hai re

mere jiwan ka too ek hi sapna
jo koyi dekhe tohe samajhe wo apna
mere jiwan ka too ek hi sapna
jo koyi dekhe tohe samajhe wo apna
sab ka hai pyara, ho sab ka hai pyara bansi bajaya
ka kare yashoda maiya
ha bada natakhat hai re krishhn kanhaiya, ka kare yashoda maiya
ha bada natakhat hai re