Balma Ja Ja Ja, Abb Koun Tujhe Samjhaye Lyrics

Posted by & filed under .


Song: Balma Ja Ja Ja, Abb Koun Tujhe Samjhaye
Movie: Aaram
Singer(s): Lata Mangeshkar
Music By: Anil Biswas
Lyricist(s): Rajendra Krishan

Balmava nadan, samajhaye na samjhe dil ki batiya
Balmava nadan, ho nadan, ho nadan, balma ja ja ja
Abb koun tujhe samjhaye

Main chanda ki chandani hu, main taro ki rani
Mere matwale naino se chhalke mast jawani
In naino ki balma tu ne koyi kadar na jani
Balma ja ja ja, abb koun tujhe samjhaye

Ek rat ki mehfil hai yeh jhum le o mastane
Dekh shammapar aakar kaise marte hain parwane
Jike marna, marke jina, pagale tu kya jane
Balma ja ja ja, abb koun tujhe samjhaye