Bedardi Balma Tujhko Lyrics

Posted by & filed under , , .


Song: Bedardi Balma Tujhko
Movie: Aarzoo (1965)
Singer(s): Lata Mangeshkar
Music By: Shankar-Jaikishan
Translation: Available

Bedardi balma tujhko mera mann yad karta hai
Barasta hai jo aankho se woh sawan yad karta hai

Kabhi ham sath gujare jin sajili rehgujaro se
Fiza ke bhes me girte hain abb patte chanaro se
Yeh rahe yad karti hain, yeh gulshan yad karta hai

Koyi jhonka hawa ka jab mera aanchal udata hai
Guman hota hai jaise tu mera daman hilata hai
Kabhi chuma tha jo tune woh daaman yad karta hai

Woh hi hain jhil ke mandar woh hi kirno ki barsate
Jaha ham tum kiya karte the paharo pyar ki bate
Tujhe iss jheel ka kamosh darpan yad karta hai