Chand Kya Hai Lyrics

Posted by & filed under , , , .

Album name:-Dhamkee (1973)
Singer: Kishore Kumar, Asha Bhosle
Actor:-Vinod Khanna
Lyricist:-Asad Bhopali
Music By:-Ganesh

chand kya hai rup ka darpan
are rup kya hai preet ka angan
preet kya hai dil ki dhadkan
chand kya hai rup ka darpan
are rup kya hai preet ka angan
preet kya hai dil ki dhadkan

jab se tum sang preet lagai
jab se tum sang preet lagai
hamko ek pal nind na aayi
rani ho rani
meri nas nas me angadayi
du mai sari rat duhai raja ho raja
kaho na rat ki sari kahani
rat kya hai nind ki chilman
nind kya hai hosh ki dusman
hosh kya hai diwanapan
chand kya hai rup ka darpan
are rup kya hai preet ka angan
preet kya hai dil ki dhadkan

rat ko apna chand pyara
ho rat ko apna chand pyara
mujhko pyara pyara tumhara raja ho raja
sagar ki hai jan kinara
meri jan hai pyar tumhara
rani ho rani
aji hum jante hai tum batao
jan kya hai sans ka bandhan
sans kya hai aas ka jiwan
aas kya hai chand si dulhan
chand kya hai rup ka darpan
are rup kya hai preet ka angan
preet kya hai dil ki dhadkan
chand kya rup ka
are rup kya preet ka
preet kya dil ki dhadkan kya