Dekho Ji Dekho Sun Lo Ye Baat Lyrics

Posted by & filed under , , , , .

Movie name:-Singapore (1960)
Singer:-Lata Mangeshkar
Actor:-Shammi Kapoor, Maria Menado
Lyricist:-Hasrat Jaipuri
Music By:-Shankar Jaikishan

dekho ji dekho sun lo ye baat, jiwan me ek baar aana singapur
dil ka khajana dungi tujhe, jiwan me ek baar aana singapur
dekho ji dekho sun lo ye baat, jiwan me ek baar aana singapur

naino ke ayine me tasvir hai tumhari
mano na tum to paas aake dekhlo
hota hai pyar kaisa kahte hai pyar kisko
jano na tum to dil lagake dekhlo
kahta hi tumse dil ka ye mor, jiwan me ek baar aana singapur
dekho ji dekho sun lo ye baat, jiwan me ek baar aana singapur

dil me bithaungi mai, apna banaugi mai
raho me dil bichaungi mai tere liye
baho se bandh lungi, ulfat se gher lungi
aaye jo aap is taraf mere liye
tod na dena sathi dil ki dor, jiwan me ek baar aana singapur
dekho ji dekho sun lo ye baat, jiwan me ek baar aana singapur

achha to wada karlo, aaoge kis din milne
mere dildar sukriya sukriya
dil ka payam hai ye tu jo kubul kar le
tera so bar sukriya sukariya
bhul na jana o dil ke chor, jiwan me ek baar aana singapur
dekho ji dekho sun lo ye baat, jiwan me ek baar aana singapur
dil ka khajana dungi tujhe, jiwan me ek baar aana singapur