Dil Lagakar Aapase Pachhata Rahe Lyrics

Posted by & filed under , , .


Song: Dil Lagakar Aapase Pachhata Rahe
Movie: Around The World
Singer(s): Mukesh
Music By: Shankar-Jaikishan
Lyricist(s): Hasrat Jaipuri

Dil lagakar aapase pachhata rahe hain janeman
Pyar karne ki saja ham pa rahe hain janeman

Aankh kuchh aisi ladi naukari karni padi
Aa gaye bato me ham dil me chhuti phuljhadi
Hay ham toh phans gaye ghabara rahe hain janeman
Pyar karne ki saja ham pa rahe hain janeman

Dil toh pehle de diya dilabar apne ho chuke
Pas jo punji bachi hay woh bhi kho chuke – (2)
Ham toh apne hal par sharama rahe hain janeman
Pyar karane ki……..