Ek Bar Dharti Par Aakar Lyrics

Posted by & filed under .


Song: Ek Bar Dharti Par Aakar
Movie: Banjaarin
Singer(s): Mukesh

Ek bar dharti par aakar dekh jara bhagwan
Tere hatho aaj huwa barabad tera insan
Dekh jara bhagwan, (aakar dekh jara bhagwan -2)

Julm kiya kyon palanhare, chita ban gayi hai dware dware
Mann ki godi aaj bani hai ek jalta shamshan
Dekh jara bhagwan, (aakar dekh jara bhagwan -2)

Bichhad gaya hai bahan se bhayi, dulhan ki tuti shehanayi
Hay pita ne marte dekha apna putra javan
Dekh jara bhagwan, (aakar dekh jara bhagwan -2)

Mandir ki ro rahi divare, masjid bhi abb yahi pukare
Wahi hai dharti, wahi gagan hai, kaha tera iman
Dekh jara bhagwan, (aakar dekh jara bhagwan -2)

Tera dekha kub tamasha palat gaya kismat kaa pasa
Badal dal abb nam too apna o rahbar rehman
Dekh jara bhagwan, ek bar dharti par

Aakar dekh jara bhagwan – (2)