Hum Apni Wafa Yaad Dila Bhi Nahin Sakte Us Bhulne Lyrics

Posted by & filed under , , , , , .

Album name:-Bewafai (1985)
Singer:-Lata Mangeshkar
Actor:-Rajesh Khanna, Padmini Kolhapure, Meenakshi Seshadri
Lyricist:-Indeevar
Music By:-Bappi Lahiri

hum apni wafa yad dila bhi nahi sakte
us bhulne wale ko bhula bhi nahi sakte
hum apni wafa yad dila bhi nahi sakte
us bhulne wale ko bhula bhi nahi sakte

bahta hua har ashq ye kahta hai na jao
bahta hua har ashq ye kahta hai na jao
khamosh nigaho ki kasam laut bhi aao
hum apni juba se to bula bhi nahi sakte
us bhulne wale ko bhula bhi nahi sakte

dil jalta hai chup chap na shola na dhua hai
dil jalta hai chup chap na shola na dhua hai
hai dard magar kisko bataye ki kaha hai
ye jakham mohabbat hai dikha bhi sakte
us bhulne wale ko bhula bhi nahi sakte
hum apni wafa yad dila bhi nahi sakte
us bhulne wale ko bhula bhi nahi sakte
us bhulne wale ko bhula bhi nahi sakte