Is Jeevan Ki Yahi Hai Khaani Lyrics

Posted by & filed under , , , , .

Album name:-Alag Alag (1985)
Singer:-Lata Mangeshkar,
Actor:-Shashi Kapoor, Tina Munim
Lyricist:-Anand Bakshi
Music By:-R D Burman

is jivan ki yahi hai kahani
o is jivan ki yahi hai kahani
is jivan ki yahi hai kahani
aani jaani ye duniya bahte dariya ka paani
is jivan ki yahi hai kahani
is jivan ki yahi hai kahani
aani jaani ye duniya bahte dariya ka paani

phul khile khilker murjhaye
dip jale jhal jhal ker bujh jaye
is bagiya ki rit yahi hai
ek rut aaye ek rut jaye
kaise badle reet purani
kaise badle reet purani
aani jaani ye duniya bahte dariya ka paani
is jivan ki yahi hai kahani
is jivan ki yahi hai kahani
aani jaani ye duniya bahte dariya ka paani

aane wala pal kahta hai jaane wala pal kahta hai
kon raha hai kon rahega kon humesa kab rahta hai
rah jati hai yaad nishani
rah jati hai yaad nishani
aani jaani ye duniya bahte dariya ka paani
is jivan ki yahi hai kahani
is jivan ki yahi hai kahani
aani jaani ye duniya bahte dariya ka paani

jism ki maut se fir kya darna
is mitti ka hum kya kerna
duniya me sab ko na jane kitni baar hai jina marna
maut ke bad hai fir jindagani
maut ke bad hai fir jindagani
aani jaani ye duniya bahte dariya ka paani
is jivan ki yahi hai kahani
is jivan ki yahi hai kahani
aani jaani ye duniya bahte dariya ka paani
o bahte dariya ka paani