Jab Tum Ho Mere Hamsafar Khuburat Lyrics

Posted by & filed under , , , .


Song: Jab Tum Ho Mere Hamsafar Khuburat
Movie: Aan Baan (1972)
Singer(s): Mohammad Rafi
Music By: Shankar-Jaikishan
Lyricist(s): Hasrat Jaipuri

Namste vimala ji, ji aapne mujhase kuchh kaha
Ji ha dekhiye na kitna khubsurat itefaaq hai
Pichhale dafa jab kashmir gaya toh jahaaj mein seat mili
Bilkul aapke saath aaj ki tarah
Aur usake baad ?? mein house boat mila
Woh bhi bilkul aapki pados mein
For your information main kashmir kabhi nahi gayi
Ji aap kashmir kabhi nahi gayi
Ji nahi main kashmir kabhi nahi gayi
O ho toh gussa kyun karati hai aap
Kashmir toh main bhi kabhi nahi gaya
To jhut mut itani lambi chaudi kahaani kyun bana rahe the aap
Aji kahaani woh kahaani, kahaani ki jarurat toh padati hai memsaab
Aap jindagi ko hi le lijiye
Chang jhuti kahaaniya, chang jhute o sapane, chang jhuti ummide
Agar yeh na ho toh jindagi kya hai
Jaise jindagi kaatane ke liye, chang jhuti ummidon ki jarurat padati hai
Isi safar kaatane ke liye chang jhuti kahaaniyo ki jarurat padati hai
Kahiye kya khayaal hai aapka, aap ek bahot bade bore hai samajhe
Bahot bahot shukriya
Dekhiye aapne abhi mujhe bore keh diya
Shaayad agale station tak chor keh de
Lekin koyi baat nahi, baatchit ka silsila jaari rahega
Safar kat jaayega

Jab tum ho mere hamsafar khuburat – (2)
Toh hai jindagi ka safar khubsurat
Jab tum ho mere hamsafar khuburat
Toh hai jindagi ka safar khubsurat
Jab tum ho mere

(Chalaa tir par tir sharmaana kya
Ke jaan meri jaan yeh ghabraana kya) – (2)
Idhar bhi hai pyaare -2 jigar khubsurat
Idhar bhi hai pyaare jigar khubsurat
Toh hai jindagi ka safar khubsurat
Jab tum ho mere hamsafar khuburat
Toh hai jindagi ka safar khubsurat
Jab tum ho mere

(Mujhe dekhkar yuun na gusse mein aa
Mile na mile phir jara muskura) – (2)
Hai chehare pe gussa -2 magar khubsurat
Hai chehare pe gussa magar khubsurat
Toh hai jindagi ka safar khubsurat
Jab tum ho mere hamsafar khuburat
Toh hai jindagi ka safar khubsurat
Jab tum ho mere

(Chamakate hai gaalon mein ujale sawere
Mehakate hai baalon mein dilkash andhere) – (2)
Hai phulon se naajuk haay haay
Hai phulon se naajuk kamar khubsurat – (2)
Toh hai jindagi ka safar khubsurat
Jab tum ho mere hamsafar khuburat
Toh hai jindagi ka safar khubsurat
Jab tum ho mere