Jaisa Tu Karega Mai Bhi Karunga Lyrics

Posted by & filed under , , , , .

Album name:-Aakhri Adaalat (1988)
Singer :Anu Malik, Mohammed Aziz
Actor:-Jackie Shroff, Vinod Khanna
Lyricist:-Anjaan
Music By:-Anu Malik

jaise tu karega mai bhi karunga
mai bhi karunga ha mai bhi karunga
jaise tu jiyega mai bhi jiyunga
mai bhi jiyunga ha mai bhi jiyunga
pina vina chhod de batli ko tod de
pina vina chhod de batli ko tod de
varna teri ma kya bola varna teri ma ko bata dunga
tu meri ma ko batayega ye meri ma ko batayega sala
jaise tu karega mai bhi karunga
mai bhi karunga ha mai bhi karunga

beta na kisi ka na koi meri ma
ha ha tu to paida huya ma ke bina
beta na kisi ka na koi meri ma
ha ha tu to paida huya ma ke bina
ja ja mujhe chhed ke yu gussa na dila
gussa tera gussa kya hai dekhu to zara
tera jina bhi koi jina hai tera jina to daru pina hai
pina vina chhod de batli ko tod de
pina vina chhod de batli ko tod de
varna teri bend baza dunga achha tu meri bend bazayega
baza baza ja bache bend baza
jaise tu karega mai bhi karunga
mai bhi karunga ha mai bhi karunga

nashe me hai chal tu sambhal ke zara
o ungali pakad ke tu chalna sikha
nashe me hai chal tu sambhal ke zara
o ungali pakad ke tu chalna sikha
ja ja mera pichha chhod aage bad ja
mujhe kya padi hai ja suli chad ja
jine se mere ji bhar gaya hai zinda kaha hai tu mar gaya hai
pina vina chhod de batli ko tod de
pina vina chhod de batli ko tod de
varna tere hosh uda dunga tu mere hosh udayega arey
o mai tere hosh uda dunga, ja
jaise tu karega mai bhi karunga
mai bhi karunga ha mai bhi karunga

chal ghar chal rat dhal jayegi dhal jayegi to phir kal aayegi
arey chal ghar chal rat dhal jayegi
dhal jayegi to phir kal aayegi
kal tak pi ke tu mar jayega mar jauga to tera kya jayega
wada kiya hai sath jiyenge lagta hai ab to sath marenge
tu jo kahi kho gaya arey tujhe kuch ho gaya
tu jo kahi kho gaya arey tujhe kuch ho gaya
duniya ko aag laga dunga
jaise tu karega mai bhi karunga
mai bhi karunga ha mai bhi karunga
jaise tu karega mai bhi karunga
mai bhi karunga ha mai bhi karunga