Na Aadami Ka Koyi Bharosa Lyrics

Posted by & filed under , , , .


Song: Na Aadami Ka Koyi Bharosa
Movie: Aadmi (1968)
Singer(s): Mohammad Rafi
Music By: Naushad
Lyricist(s): Shakeel Badayuni

Teri mohabbat pe shak nahi hai
Teree wafao ko manata hu
Magar tujhe kiski aarju hai
Main yeh hakikat bhi janata hu

Na aadami ka koyi bharosa
Naa dosti ka koyi thikana
Wafaa kaa badalaa hain bewafayi
Ajab jamana hain yeh jamana
Na aadami ka koyi bharosa

Naa husn mein abb woh dilakashee hai
Naa ishk mein abb woh jindagi hai
Jidhar nigaahe uthake dekho
Sitam hain dhokhaa hain berukhi hai
(Badal gaye jindagee ke nagame
Bikhar gayaa pyaar kaa tarana) – (2)
Na aadami ka koyi bharosa

Dawa ka badale mein jeher de do
Utaar do mere dil mein khanjar
Lahu se sincha tha jis chaman ko
Uge hain shole ussi ke andar
(Mere hee ghar ke charaag ne khud
Jala diya mera aashiyana) – (2)
Na aadami ka koyi bharosa
Naa dosti ka koyi thikana
Wafaa kaa badalaa hain bewafayi
Ajab jamana hain yeh jamana