Naam Tera Hai Zaban Par Lyrics

Posted by & filed under , , , .

name:-Dastan (1950)
Singer :-Suraiya,
Actor:-Raj kapoor
Lyricist:-Shakeel Badayuni
Music By:-Naushad

o naam tera hai zuba par yad teri dil me hai
janewale ab to aaja zindagi mushkil me hai
zindagi mushkil me hai
naam tera hai zuba par yaad teri dil me hai
janewale ab to aaja zindagi mushkil me hai
zindagi mushkil me hai

dil ka jo anzam hona tha wahi aakhir hua
chand armano ka mere badliyo me chup gaya, chup gaya
ab andhera hi andhera pyar ki mehfil me hai
janewale ab to aaja zindagi mushkil me hai
zindagi mushkil me hai

rah gayi rah gayi, fariyad bankar fariyad bankar
wo khushi ki dasta, wo khushi ki dasta
tere gum ko dil me lekar hum to baithe hai yaha, hai yaha
dil ke malik tu na jane kaun si manzil me hai
aye janewale ab to aaja zindagi mushkil me hai
zindagi mushkil me hai