Naam Nahin Koi Thaam Nahi Lyrics

Posted by & filed under , , , .


Song: Naam Nahin Koi Thaam Nahi
Movie: Aan Baan (1972)
Singer(s): Mohammad Rafi
Music By: Shankar-Jaikishan
Lyricist(s): Gulshan Bawra

(Conversation)
Sun lo purab paschhim uttar dakshin ke ai logo
Jivan sabke liye saja hai, hasate hasate bhogo
(Naam nahin koi thaam nahi, hai number se pehchaan
Kya raaja kya rank yaha pe, sab hai ek samaan) – (2)
Naam nahin koi thaam nahi

(Bhaasha ko deewaar banaake, kyun tu bair kamaaye
Bol pyaar ki boli aisi, gair tera ho jaaye) – (2)
Dil ki bhyaasha sab ki bhaasaha, jaan le o anjaan
Kya raaja kya rank yaha pe, sab hai ek samaan
Naam nahin koi thaam nahi, hai number se pehchaan
Kya raaja kya rank yaha pe, sab hai ek samaan
Naam nahin koi thaam nahi

(Bura na dekho, bura na bolo, bura suno na bhai
Sab dharmo ka yahi hai maksad, yahi toh hai sachchaayi) – (2)
Chaahe gita bibal padhalo, chaahe granth kuraan
Kya raaja kya rank yaha pe, sab hai ek samaan
Naam nahin koi thaam nahi, hai number se pehchaan
Kya raaja kya rank yaha pe, sab hai ek samaan
Naam nahin koi thaam nahi

(Josh mein aake bhul gaya tu, tu hai ek khilauna
Kok se tune janam liya hia, maut ki god mein sona) – (2)
Kaandhe chadh ke jaayega, nirbal ho ya balwaan
Kya raaja kya rank yaha pe, sab hai ek samaan
Naam nahin koi thaam nahi, hai number se pehchaan
Kya raaja kya rank yaha pe, sab hai ek samaan
Naam nahin koi thaam nahi