Satrah Baras Ki Chhokariya Pe Budde Ka Dil Aa Gya Lyrics

Posted by & filed under , , , , , , .

Album name:-Ajanabee (1974)
Singer: -Kishore Kumar, Asha Bhosle
Actor:-Rajesh Khanna, Zeenat Aman
Lyricist :Anand Bakshi
Music By:-R D Burman

satrah baras ki o o satrah baras ki re chhokariya pe
ho budhe ka dil aa gaya
satrah baras ki re chhokariya pe budhe ka dil aa gaya
budha sathiya gaya budha sathiya gaya
rama ho rama teri duhai bura zamana aa gaya
budha sathiya gaya budha sathiya gaya

paniya bharan ko panghat pe jab ghunghat maine khola
paniharan mai bhi hu pyasa budha hans kar bola
paniya bharan ko panghat pe jab ghunghat maine khola
paniharan mai bhi hu pyasa budha hans kar bola
pani ke do ghunt hi pike wo masti me aa gaya
budha sathiya gaya budha sathiya gaya
rama ho rama teri duhai bura zamana aa gaya
budha sathiya gaya budha sathiya gaya

prem dagar pe dekh ke tujhko ho gaya mai diwana
sath mujhe le chal mujhko bhi prem nagar hai jana
prem dagar pe dekh ke tujhko ho gaya mai diwana
sath mujhe le chal mujhko bhi prem nagar hai jana
char kadam jo chala to phuli sans pasina aa gaya
budha sathiya gaya budha sathiya gaya
rama ho rama teri duhai bura zamana aa gaya
budha sathiya gaya budha sathiya gaya

sath baras me budhe par yu tut ke aai jawani
kisi jawan se mujhe lada ke dekh le meri rani
sath baras me budhe par yu tut ke aai jawani
are kisi jawan se mujhe bhida ke dekh le meri rani
bech ke ghar apna sone ka har mujhe pahna gaya
ha budha sathiya gaya budha sathiya gaya
satrah baras ki re chhokariya pe budhe ka dil aa gaya
budha sathiya gaya budha sathiya gaya
rama ho rama teri duhai bura zamana aa gaya
budha sathiya gaya budha sathiya gaya