Suno Kaho Kaha Suna Kuchh Huva Kya Lyrics

Posted by & filed under , , , , , , .

Album name:-Aap Ki Kasam (1974)
Singer: -Lata Mangeshkar, Kishore Kumar
Actor:-Rajesh Khanna, Mumtaz
Lyricist :Anand Bakshi
Music By:-R D Burman

suno, kaho, kaha, suna, kuchh huva kya
abhi to nahi kuchh bhi nahi
suno, kaho, are kaha, suna, kuchh huva kya
abhi to nahi kuchh bhi nahi
are chali hawa, jhuki ghata, kuchh huva kya
abhi to nahi kuchh bhi nahi

teri kasam yeh dilkash nazare karte hai ishare jo samajhe koi
mere sanam yeh khamosh aankhe bhi karti hai bate jo samjhe koi
samjha nahi tum samjha do
are suno, ha kaho, kaha, are suna, kuchh huva kya
abhi to nahi kuchh bhi nahi

bas jo chale to subah se lekar rahu sham tak main tere sang me
gar ho sake to main apne dil par tera nam likh du har ek rang me
bato me na uljhaao
are suno, ha kaho, ha kaha, suna, kuchh huva kya
abhi to nahi kuchh bhi nahi

achchha kabhi phir bat chhedenge marzi nahi hai tumhari abhi
kuchh ho gaya to badi hogi mushkil ke choti umar hai hamari abhi
main kya karu batla do
suno, ha kaho, kaha, are suna, kuchh huva kya
abhi to nahi kuchh bhi nahi
are chali hawa, jhuki ghata, kuchh huva kya
zara sa kuchh huwa to hai
zara sa kuchh huwa to hai
zara sa kuchh huwa to hai
zara sa kuchh huwa to hai