Tumhare Bin Gujare Hain Kayi Din Lyrics

Posted by & filed under , , , .


Song: Tumhare Bin Gujare Hain Kayi Din
Movie: Atmaram (1979)
Singer(s): Mohammad Rafi, Lata Mangeshkar
Music By: Shankar-Jaikishan

Tumhare bin gujare hain kayi din abb na gujrenge
Jo dil me aa gayi hai, aaj ham woh kar hi gujrenge
Kabar kya thi ke apne bhi sitare aise bigadenge
Ke jo puja ke kabil hain, wohi yu rang badlenge

Kayi din bad phir yeh saj singar paya hai
Nahi malum tha ke aap yu inkar kar denge
Tumhare bin gujre…..

Tumhe kaise bataye kya hamare sath gujari hai
Tumhara kwab tutega agar yah bat kah denge
Tumhare bin gujre…..

Tumhari ek na manenge karenge aaj man-mani
Bahut tarasaya hai tumne, nahi abb aur tarsenge
Tumhare bin gujre…..

Sataya toh nahi karte kabhi kismat ke maro ko
Kisi ki jan jayegi kisi ke araman nikalenge
Tumhare bin gujre…..

Manaya tumako kitni bar lekin tum nahi mane
To majbur ho kar ham shararat par bhi utarenge
Tumhare bin gujre…..

Hakikat kya hai yeh pehle bata dete to achchha tha
Khud apne jal se ham na jane kaise niklenge
Tumhare bin gujre…..