Album name:- Agar tum na hote (1984)
Singer :- Kishore Kumar.
Performer:- Rajesh Khanna.
Aate Jaate Khoobsurat
Aate jaate khoobsurat awara sadkon pe
Kabhi kabhi ittefaq se
Kitne anjaan log mil jaatein hain
Unn mein se kuch log bhool jaatein hain
Kuch yaad reh jaate hain
Unn mein se kuch log bhool jaatein hain
Kuch yaad reh jaate hain
Aawaaz ki duniya ke doston
Kal raat kisi jagah pe mujhko
Kis kadar yeh haseen khayal mila hain
Raah mein ek reshmi rumal mila hain
Jo giraya tha kisine jaankar
Jiska ho le jaaye wo pehchankar
Warna main rakh loonga
Usko apna jaankar
Kisi husn wale ki nishani maankar
Nishaani maankar
Hanste gaate logon ki
Baaton hi baaton mein
Kabhi kabhie ek mazaaq se
Kitne jawaan kisse ban jaate hain
Un kisso mein chund bhool jaate hain
Chand yaad reh jaate hain
Unn mein se kuch log bhool jaatein hain
Kuch yaad reh jaate hain
Taqdeer mujhpe meherbaan hai
Jis shaukh ki yeh daastaan hai
Usne bhi shaayad yeh paighaam suna ho
Mere geeton mein apna naam suna ho
Usne bhi shaayad yeh paighaam suna ho
Mere geeton mein apna naam suna ho
Door baithi wo yeh raaz wo jaan le
Meri awaaz ko pehchaan le
Kaash phir kal raat jaisi barsaat ho
Aur meri uski kahin mulaqaat ho, mulaaqat ho
Lambi lambi raaton mein
Neend nahin jab aayen
Kabhi kabhi iss firaaq se
Kitne haseen khwab ban jaate hain
Unn mein se kuch khwab bhool jaate hain
Kuch yaad reh jaate hain
Unn mein se kuch log bhool jaatein hain
Kuch yaad reh jaate hain
Aate jaate khoobsurat awara sadkon pe
Kabhi kabhi ittefaq se
Kitne anjaan log mil jaatein hain
Unn mein se kuch log bhool jaatein hain
Kuch yaad reh jaate hain