Aaye Tum Yaad Mujhe Lyrics

Posted by & filed under .

Album: Mili

Aaye tum yaad mujhe
Gaane lagi har dhadkan
Khushboo laayi pawan
Mehka chandan
Aaye tum yaad mujhe
Gaane lagi har dhadkan

Jis pal naino mein sapna tera aaye
Us pal mausam par mehendi rach jaaye
Aur tu ban jaaye jaise dulhan

Aaye tum yaad mujhe
Gaane lagi har dhadkan

Jab main raaton mein taare ginta hoon
Aur tere kadmon ki aahat sunta hoon
Lage mujhe har taara tera darpan

Aaye tum yaad mujhe
Gaane lagi har dhadkan

Har pal mann mera mujhse kehta hai
Jis ki dhun mein tu khoya rehta hain
Bhar de phoolon se uska daaman

Aaye tum yaad mujhe
Gaane lagi har dhadkan
Khushboo laayi pawan
Mehka chandan
Aaye tum yaad mujhe
Gaane lagi har dhadkan