Kabhi Na Kabhi Lyrics

Posted by & filed under .

Film: Sharabi (1965)

Kabhi na kabhi kahi na kahi
Koi na koi to aayega
Kabhi na kabhi kahi na kahi
Koi na koi to aayega

Apna mujhe banayega
Dil mein mujhe basayega
Kabhi na kabhi kahi na kahi
Koi na koi to aayega

Kabse tanha ghoom raha hoon
Duniya ke viraane mein
Khali jaam liye baitha hoon
Kabse is mai-khane mein

Koi to hoga mera saathi
Koi to pyuaas bujhayega
Kabhi na kabhi kahi na kahi
Koi na koi to aayega

Kisine mera dil na dekha
Na dil ka paigam suna
Mujhko bas awara samjha
Jisne mera naam suna

Ab tak to sabne thukraya
Koi to paas bithayega
Kabhi na kabhi kahi na kahi
Koi na koi to aayega

Kabhi to dega sannate mein
Pyaar bhari awaaz koi
Kaun yeh jaane kab mil jaye
Raste mein humraaz koi

Mere dilka dard samajhkar
Do aanson to bahayega
Kabhi na kabhi kahi na kahi
Koi na koi to aayega

Apna mujhe banayega
Dil mein mujhe basayega
Kabhi na kabhi kahi na kahi
Koi na koi to aayega