Film : Baiju Bawara (1952)
Bhagwan bhagwan bhagwan
O duniya ke rakhwale
Sunn dard bhare mere naale
Sunn dard bhare mere naale
Aash niraash ke do rangon se
Duniya tune sajayi
Naiya sang to baand banaya
Milan ke saath judaai
Jaa dekhliye harjaai
O loot gayi mere pyar ki nagari
Ab to neer baha le
Ab to neer baha le
Ooo, ab to neer baha le
O duniya ke rakhwale
Sunn dard bhare mere naale
Sunn dard bhare mere naale
Aag bani sawaan ki barkha
Phool bane angarein
Nagan ban gayi raat suhani
Patthar ban gaye taarein
Sab tut chuke hain sahare
O jeevan apna wapas leh le
Jeevan dene wale
O duniya ke rakhwale
Chaand ko dhonde pagal suraj
shaam ko dhoonden savera
Main bhi dhoondu us pritam ko
Ho na sakaa jo mera
Bhagwan bhala ho tera
O kismat phuti aach na tuti
Pao mein pad gaye chale
O duniya ke rakhwale
Mehal udaas aur galiyan suni
Chup chup hain dewaarein
Dil kya ujada duniya ujadi
Rooth gayi hain baharein
Hum jeevan kaise gujaare
O mandir girta phir ban jataa
Dil ko kaun sambhale
O duniya ke rakhwale
Sunn dard bhare mere naale
Sunn dard bhare mere naale
O duniya ke rakhwale
Rakhwale rakhwale, rakhwale