Album Name: Barsat Ki Raat (1960)
Zindagi bhar nahin bhoolegi
Woh barast ki raat
Ek anjaan haseena se mulaquat ki raat
Zindagi bhar nahin bhoolegi
Haai woh reshmi zulfon se barasta paani
Haai woh reshmi zulfon se barasta paani
Phool se gaalon pe rukneko tarasta paani
Dil mein toofan uthte hue
Dil mein toofan uthte hue jazbaat ki raat
Zindagi bhar nahin bhoolegi
Dar se bijli se achanak woh lipatna uska
Aur fir sharm se balkha ke simatna uska
Kabhi dekhi na suni aisi ho
Kabhi dekhi na suni aisi tilisman ki raat
Zindagi bhar nahin bhoolegi
Surk aanchal ko dabakar jo nichoda usne
Surk aanchal ko dabakar jo nichoda usne
Dil pe jalta hua ek teer sa choda usne
Aag paani mein lagate hue
Aag paani mein lagate halat ki raat
Zindagi bhar nahin bhoolegi
Mere naghmon mein jo basti hain
Woh tasveer thi woh
Naujawani ke haseen khwaab
Ki taveer thi woh
Aasmano se utar aayi hon
Aasmano se utar aayi thi jo raat ki raat
Zindagi bhar nahin bhoolegi
Woh barast ki raat
Zindagi bhar nahin bhoolegi