Album name :- Arzoo (1965)
Singer :- Lata Mangeshkar
Actors :- Sadhana, Rajendra Kumar
Lyricist :- Hasrat Jaipuri
Music :- Shankar Jaikishan
Bedardi Balma Tujhko Mera Mann Yad Karta Hai

Barasta Hai Jo Aankho Se Wo Sawan Yad Karta Hai

Kabhi Ham Sath Gujare Jin Sajili Reh Gujaro Se
Fiza Ke Bhes Me Girte Hain Abb Patte Chanaro Se
Yeh Rahe Yad Karti Hain, Yeh Gulshan Yad Karta Hai
Bedardi Balma Tujhko Mera Mann Yad Karta Hai
Barasta Hai Jo Aankho Se Wo Sawan Yad Karta Hai
Bedardi Balma Tujhko Mera Mann Yad Karta Hai
Koyi Jhonka Hawa Ka Jab Mera Aanchal Udata Hai
Guman Hota Hai Jaise Tu Mera Daman Hilata Hai
Kabhi Chuma Tha Jo Tune Wo Daaman Yad Karta Hai
Bedardi Balma Tujhko Mera Mann Yad Karta Hai
Barasta Hai Jo Aankho Se Wo Sawan Yad Karta Hai
Bedardi Balma Tujhko Mera Mann Yad Karta Hai
Wo Hi Hain Jhil Ke Mandar Wo Hi Kirno Ki Barsaate
Jaha Ham Tum Kiya Karte The Paharo Pyar Ki Bate
Tujhe Iss Jheel Ka Kamosh Darpan Yad Karta Hai