name:- Jis Desh Men Ganga Behti Hai (1961)
singer :Mukesh
Actor:-Padmini, Raj Kapoor
Lyricist :Shailendra
Music By:Shankar Jaikishan
hotho pe sachchai rahti hai jaha dil me safai rahti hai
ham us desh ke vasi hai
ham us desh ke vasi hai jis desh me ganga bahti hai

mehama jo hamara hota hai, vo jaan se pyara hota hai

zyada ki nahi lalach hamko, thode me guzara hota hai
thode me guzara hota hai
bachcho ke liye jo dharti ma sadiyo se sabhi kuch sahti hai
ham us desh ke vasi hai
ham us desh ke vasi hai jis desh me ganga bahati hai
kuch log jo zyada jante hai, insan ko kam pahchante hai

ye purab hai purabavale, har jaan ki kimat janate hai
har jaan ki kimat janate hai
mil jul ke raho aur pyaar karo, ek chiz yahi jo rahti hai
ham us desh ke vasi hai
ham us desh ke vasi hai jis desh me ganga bahti hai
jo jisse mila sikha hamne, gairo ko bhi apnaya hamne

matlab ke liye andhe hokar roti ko nahi puja hamne
roti ko nahi puja hamne
ab ham to kya sari dunia, sari dunia se kahti hai