Album name:-Shankar Shambhu (1976)
Singer : Jaani Babu Qawwal, Aziz Nazan
Actor:- Vinod Khanna
Lyricist:-Sahir Ludhianvi
Music By:-Kalyanji Anandji
kiya tha tumse jo wada nibha diya hamne
are tumhari bazm me aakar dikha diya hamne
ab isse aage jo hona hai wo bhi sun lijiye
or uske bad jo karna hai sokh se kijiye
ke hum lutne aaye hai hum lut ke jayenge
ke hum lutne aaye hai hum lut ke jayenge
is husn ki mahfil ko is husn ki mahfil ko
har ruh ko har dil ko har ruh ko har dil ko
aankho ke tarano ko sanso ke tarano ko
dhadkan ke khazano ko dhadkan ke khazano ko
chand sitaro ko chand sitaro ko
rangin baharo ko rangin baharo ko
hum lutne aaye hai hum lut ke jayenge
hum lutne aaye hai hum lut ke jayenge
ho jal bichaye the raste me rakibo ne
raste me rakibo ne nakam kiya unko
khud unke nasibo ne ho khud unke nasibo ne
hum unke mukabil the wo jan nahi paye
wo jan nahi paye or kis rang me dube hai
pahchan nahi paye hame pahchan nahi paye
pachtayenge wo pachtayenge wo kya jab hosh me aayenge
aayenge hum lutne aaye hai hum lut ke jayenge
hum lutne aaye hai hum lut ke jayenge
mahfil ka har ek jalwa jagir hamari jagir hamari
ho khwab kisi ka bhi tabir hamari tabir hamari
apna bhi to kuch hak hai gulshan ki baharo par
shadab najaro par phulo ki kataro par
israt ke fasano par rahat ke jamano par
dunia ki massrat par dharti ke khazano par
faili hui janjire kuch kam na aayegi
tani hui shamshaire kuch kam na aayengi
pahre ki hakimat kya tum khud hi samjh loge
hai raze hakikat hai tum khud hi samjh loge
utre hue chehro ko utre hue chehro ko
aayina dikhayenge jis shan se aaye hai
us shan se jayenge
hum lutne aaye hai hum lut ke jayenge
hum lutne aaye hai hum lut ke jayenge