Album name:-Aakhri Khat (1967)
Singer: -Lata Mangeshkar
Actor:-Rajesh Khanna, Indrani Mukherjee
Lyricist :Kaifi Azmi
Music By:-Khayyam
mere chanda mere nanhe
mere chanda mere nanhe tujhe apne sine se kaise lagaau
suni godi me kaise uthau

chhup gaye ladle aanchlo me, raat pariyo ka paigam laayi

kis tarah so gaya tu akele, kis tarah bin mere nind aayi
mere chanda mere nanhe tujhe apne sine se kaise lagaau
suni godi me kaise uthau
tere sapne me aa toh gayi main, apni majburiya kya bataau

bund bhi tan me baki nahi hai, bhukh teri main kaise mitau
mere chanda mere nanhe tujhe apne sine se kaise lagaau
suni godi me kaise uthau
aadmi bhi hai, bhagwan bhi hai phir bhi phirta hai tu besahara

kaun tujhko gale se lagaaye, pattharo ka hai yeh shehar saara
mere chanda mere nanhe tujhe apne sine se kaise lagaau
suni godi me kaise uthau
dur jaana hai nanhe musafir, raste me kahi thak na jaana

thaam ke meri aaho ki dori, dhund le tu hi apna thikaana