Album name:-Raat Andheri Thi (1967)
Singer:-Suman Kalyanpur, Mohammed Rafi
Actor:-Feroz Khan
Lyricist:-Akhtar Romani
Music By:-Usha Khanna
balle balle kudiye balle balle mundiya
balle balle kudiye balle balle mundiya
haye ni kudiye haye ni mundiye
balle balle hiriye balle balle ranjhya
sapna dekha rat ke jaise tu hai mere sath
o baliye hatho me hai hath hua kya matlab iska
tera mera sath o chan we jaise ye din rat
ke tu hai badal mai barsat samjh le matlab iska
sapna dekha rat ke jaise tu hai mere sath
o baliye hatho me hai hath hua kya matlab iska
kajal wali aankh sharabi mehendi wale hath gulabi

ho tera har andaz kayamat teri har ek bat shabaabi
tu jab kano me ras ghole jhum ke mera ang ang dole

mai to laj se mar mar jau haye jane dil ye kya kya bole
dil bole ye bat ke chahe din ho chahe rat
rahe tu saya banke sath hua kya matlab iska
sapna dekha rat ke jaise tu hai mere sath
o baliye hatho me hai hath hua kya matlab iska
jab jab dil ka shisha dekhu tab tab tera mukhda dekhu

ho tere gore gal pe shabnam haye jaise kaliyo par ho lali
sun ke teri bat mai jagu sari sari rat samjh le matlab iska