name:-Kanhaiya (1959)
singer :Lata Mangeshkar, Mukesh
Actor:-Nutan, Om Prakash, Raj Kapoor
Lyricist:-Shailendra
Music By:-Shankar Jaikishan
ni baliye rut hai bahar ki, sun chanave rut hai bahar ki

kuch mat puchho kaise biti ghadiya intzar ki

aakhir sun li manmohan ne mere man ki boli ho
ab jakar hamko pahachani unki nazare bholi
sakhi ghadi aa gayi mere singar ki, solah singaar ki
ni baliye rut hai bahar ki, sun chanave rut hai bahar ki
kuch mat puchho kaise biti ghadiya intzar ki
ni baliye rut hai bahar ki, sun chanave rut hai bahar ki
dil ne kaha tera sapna jhutha maine kaha sach hoga
ham pahle din jan gaye the kaise kya kab hoga
sun lo ye sargam dil ke sitar ki, dil ke sitar ki
ni baliye rut hai bahar ki, sun chanave rut hai bahar ki
kuchh mat puchho kaise biti ghadiya intzar ki
ni baliye rut hai bahar ki, sun chanave rut hai bahar ki
rat-rat bhar socha tumko kaise pas bulaau
dvar khade tum laj lage ab samane kaise aau
kabhi ikrar ki kabhi inkar ki, kabhi inkar ki
ni baliye rut hai bahar ki, sun chanave rut hai bahar ki
kuchh mat pucho kaise biti ghadiya intzar ki