name:-Aashiq (1962)
singer :Lata Mangeshkar, Mukesh
Actor: Abhi Bhattacharya, Leela Chitnis, Nanda, Padmini, Raj Kapoor
Lyricist :Shailendra
Music By: Shankar Jaikishan
o shama mujhe phuk de mai na mai rahu, tu na tu rahe
yahi ishq ka hai dastur, yahi ishq ka hai dastur
parvaane jaa hai ajab chalan yahaan jite ji apna milan
qismat ko nahi manjur, qismat ko nahi manjur
shaam se lekar roz sahar tak tere liye mai har raat jali

maine to haay ye bhi na jaana kab din duba kab raat dhali
phir bhi hai milne se majbur, phir bhi hai milne se majbur
o shama mujhe phuk de mai na mai rahu, tu na tu rahe
yahi ishq ka hai dastur, yahi ishq ka hai dastur
patthar dil hai ye jagvaale jaane na koi mere dil ki jalan

jabse hai janmi pyar ki duniya tujhko hai meri mujhe teri lagan
tum bin ye duniya benur, tum bin ye duniya benur
parvaane jaa hai ajab chalan yahaan jite ji apna milan
qismat ko nahi manjur, qismat ko nahi manjur
haay ri qismat adhi qismat dekh saki naa meri-teri khushi

haay ri ulfat bebas ulfat ro ke thaki jal-jal ke mari
dil jo mile kiska tha qasur, dil jo mile kiska tha qasur