Album name:-Aashiq Hoon Baharon Ka (1977)
Singer:-Kishore Kumar
Actor:-Danny Denzongpa, Zeenat Aman, Rajesh Khanna
Lyricist :Anand Bakshi
Music By:-Laxmikant Pyarelal
mashrik se jo aaye magrib me kho gaye
are ache khase log the diwane ho gaye
ye ache khase log the diwane ho gaye
are purab se jo nikale pashchim me kho gaye
are ache khase log the diwane ho gaye
ye ache khase log the diwane ho gaye
hosh me vo sun sakte to unse itna kehna tha
sharam wafa har aurat ka ek parda tha ek gehna tha
desh inhone chhod diya lekin ghar me to rehna tha
are ghar se jo nikale vo galiyo me kho gaye
are ache khase log the diwane ho gaye
ye ache khase log the diwane ho gaye
inko kuch bhi yaad nahi ye har reet bhula baithe
apni jaan ke ye dushaman apne meet bhula baithe
shaam ki bansi radha ke sare geet bhula baithe
are ganga ke maji madiro me kho gaye
are ache khase log the diwane ho gaye
ye ache khase log the diwane ho gaye
mana aur vatan hai ye apna hindusatan nahi
isme aise log bhi hai jinki koi pehchan nahi
jinki kuch tehsib nahi jinki koi jubaan nahi
are ye jaane pehchane anjaane ho gaye
are achhe khase log the diwane ho gaye
ye achhe khase log the diwane ho gaye
mashrik se jo aaye magrib me kho gaye
are ache khase log the diwane ho gaye
ye ache khase log the diwane ho gaye