Singer: Richa Sharma, Amitabh Bachchan
Movie / Album: Baghban (2003)
Actor: Amitabh Bachchan
bag ko janam denewala bagban, parivar ko janam denewala pita
dono hi apne khun pasine se apne poudho ko sinchte hain
naa sirf apne ped se, usake saye se bhi pyar karte hain
kyun ki use ummid hai ek roj jab woh jindagi se thak jayega
yahi saya usake kam aayega
o dharti tarse, ambar barse, rut aaye, rut jaye hay
har mausam ki khushbu chunke bagban bag sajaye
bago ke har phul ko apnaa samjhe bagban
bago ke har phul ko apnaa samjhe bagban
har ghadi kare rakhwali, patti patti dali dali sinche bagban
bago ke har phul ko apnaa samjhe bagban
bago ke har phul ko apnaa samjhe bagban
har ghadi kare rakhwali, patti patti dali dali sinche bagban
bagban rab hai bagban, bagban rab hai bagban
bagban rab hai bagban, bagban rab hai bagban
o madhuban ki bahar le aaye
mausam rite rite, hay mausam rite rite
janam janam ki trishna bujh gayi
birha ke kshan bite, hay birha ke kshan bite
phir se sajaye bikhre apne sapne bagban
phir se sajaye bikhre apne sapne bagban
bagban rab hai bagban, bagban rab hai bagban
bagban rab hai bagban
bagban rab hai, rab hai bagban
o ungali thamke jin birhan ko hamne dikhayi rah
mat pita ki unke mann me tanik nahi parvah
o ansuan bhar naino se inko dekhe bagban
ansuan bhar naino se inko dekhe bagban
aa aa aa
bagban rab hai bagban, bagban rab hai bagban
bagban rab hai bagban, bagban rab hai bagban
o kisne dukh ki agni dali banjar ho gaye khet
o hari bhari jivan bagiya se udne lagi hai ret
kya boya tha, aur kya kata soche bagban
kya boya tha, aur kya kata soche bagban
aa aa aa
bagban rab hai bagban, bagban rab hai bagban
bagban rab hai bagban
bagban rab hai, rab hai bagban
o yahi sochke sanse likh di inn phulan ke nam
inki chhaniya chhaniya bite umrr ki dhalti sham
gunche hardam hi muskaye chahe bagban
gunche hardam hi muskaye chahe bagban
har ghadi kare rakhwali, patti patti dali dali sinche bagban
bagban rab hai bagban
bagban rab hai, rab hai, rab hai, rab hai, rab hai bagban
woh suraj hai layi jisne dhup aangan aangan me
kyun hai akelepan kaa andhera aaj usi ke daman me
kya chaha tha aur kya paya soche bagban
kya chaha tha aur kya paya soche bagban
aa aa aa
bagban rab hai bagban, bagban rab hai bagban
bagban rab hai bagban, bagban rab hai bagban
bagban, bagban