Album: Naunihal (1967)
Meri awaz suno pyar ka raag suno
Meri awaz suno
Maine ek phool jo seenepe saja rakha tha
Uske parde mein tumhe dil se laga rakha tha
Tha judaa sasbe mere ishq ka andaz suno
Meri awaz suno
Meri awaz suno
ZIndagi bhar mujhe narat si rahi ashkon se
Mere khawabon ko tum ashkonmein dobote kyun hon
Jo meri tarha jiya karte hain kab marte hain
Thak gaya hoon muhe so lene do rote kyun hon
Soke bhi jaagte hain rehte hain jaanbaz suno
Meri awaz suno
Meri awaz suno
Meri duniya mein na purab hain na pacchim koi
Saare insaam simat aaye simat aaye khuli bahon mein
Kal bhatakta tha main jin raahon mein tanha tanha
Kafile kitne mile aaj unhi raahon mein
Aur sab nikale mere humdum mere humraaz suno
Meri awaz suno
Meri awaz suno
Nonihalaite hain har deep ko kinare karlo
Main jaha tha inhe jana hain wahase aage
Aasman inka zammen inki, zamana inka
Hain kai inke jahan mere jahan se aage
Inhe kaliyan na khon hain yeh chaman saaz suno
Meri awaz suno
Meri awaz suno
Kyun sawari hain yeh chandan ki chita mere liye
Kyun sawari hain yeh chandan ki chita mere liye
Main koi jism nahi hoon ke jalaoge mujhe
Raakh ke saath bikhar jaaonga main duniya mein
Tum jaha kahaoge thokar wahi paoge mujhe
Har kadam par hain naye mod ka agaz suno
Meri awaz suno pyar ka raag suno
Maine ek phool jo seenepe saja rakha tha
Uske parde mein tumhe dil se laga rakha tha
Tha judaa sasbe mere ishq ka andaz suno
Meri awaz suno pyar ka raag suno
Meri awaz suno