Dil aaj shayar hain, gum aaj nagma hain
Shab yeh ghazal hain sanam
Dil aaj shayar hain, gum aaj nagma hain
Shab yeh ghazal hai sanam
Gairon ke shairon ko o sunnewale
Ho is taraf bhi karam
Aake zara dekh to teri khatir
Hum kis tarah se jiye
Aake zara dekh to teri khatir
Hum kis tarah se jiye
Aansoo ke dhage se seete rahe hum
Jo jakhm tune diye
Chahat ki mehfil mein gum tera lekar
Kismat se khela juwa
Duniya se jeete, par tujhse haare
Yun khel apna hua
Hai pyar humne kiya jis tarah se
Uska na koi jawab
Hai pyar humne kiya jis tarah se
Uska na koi jawab
Zarraat hai lekin teri lau mein jalkar
Hum ban gaye aftaab
Hum se hai zinda wafa
Aur humhi se hai teri mehfil jawan
Hum jab na honge to ro ro ke duniya
Dhundhegi mere nishan
Yeh pyaar koi khilauna nahin hai
Har koi le jo kharid
Yeh pyaar koi khilauna nahin hai
Har koi le jo kharid
Meri tarah zindagi bhar tadap lo
Phir aana uske karib
Hum to musafir hain, koi safar ho
Hum to guzar jayenge hi
Lekin lagaya hain jo daanv humne
Woh jeetkar aayenge hi
Woh jeetkar aayenge hi
Woh jeetkar aayenge hi