Dekha phoolon ko kaanton pe sote hue
Dekha toofan ko kasht dubote hue
Dekh sakta hoon main kuch bhi hote hue
Nahi main nahi dekh sakta tujhe rote hue

Ek din bigdi kismat savar jaayegi
Ek din bigdi kismat savar jaayegi
Yeh khushi humse bach kar kidhar jaayegi
Ghum na kar zindagi yun guzar jaayegi
Raat jaise guzar gayi sote hue
Nahi main nahi dekh sakta tujhe rote hue
Nahi main nahi dekh sakta tujhe rote hue
Tu bhi sun le jo maine suna ek din
Tu bhi sun le jo maine suna ek din
Baag me sair ko main gaya ek din
Ek malan ne mujhse kaha ek din
Khel kaanton se kaliyan pirote hue
Nahi main nahi dekh sakta tujhe rote hue
Nahi main nahi dekh sakta tujhe rote hue
Aankh bhar aayi phir kyun kisi baat par
Aankh bhar aayi phir kyun kisi baat par
Kar bharosa behen bhai ki zaat par
Haath rakh de yakeen se mere haath par
Muskura de zara yuhi rote hue