Duniya o duniya tera jawaab nahin
Duniya o duniya
Teri jafaaon ka bas koi hisaab nahin
Duniya o duniya, tera jawaab nahin
Duniya o duniya
Tu chaanv hain ya hain dhoop khabar kisko
Kya hain tera asli roop khabar kisko
Tu chaanv hain ya hain dhoop khabar kisko
Kya hain tera asli roop khabar kisko
Aaye nazar kaise tu aansoon hain, khvaab nahin
Duniya o duniya, tera jawaab nahin
Duniya o duniya
Teri zubaan pe hain zikr sitaaron kaa
Tere labon pe hain naam baharon ka
Teri zubaan pe hain zikr sitaaron kaa
Tere labon pe hain naam baharon ka
Par tere daman mein kaante hain gulaab nahin
Duniya o duniya, tera jawaab nahin
Duniya o duniya
Yeh kin Khayalon mein
Kho gaye hain aap, huh
Yeh kin Khayalon mein kho gaye hain aap
Kyun kuch pareshaan se ho gaye hain aap
Yeh kin Khayalon mein kho gaye hain aap
Kyun kuch pareshaan se ho gaye hain aap
Aapse to mujhko kuch shiqva janaab nahin
Duniya o duniya, tera jawaab nahin
Teri jafaaon ka bas koi hisaab nahin
Duniya o duniya