Hai, isharon isharon mein dil lene wale
Bataa yeh hunar tune seekha kahase
Nigahon nigahon mein jaadu chalana
Meri jaan seekha hain tumne jahase
O mere dil ko tum bha gaye
Meri kya thi ismein khata
Mujhe jisne tadpa diya
Yehi thi woh zalim ada
Yehi thi woh zalim ada
Yeh ranjha ki baatein, yeh majnu ke kisse
Alag to nahin hain meri daastan se
Isharon isharon mein dil lene wale
Bataa yeh hunar tune seekha kahase
O mohabbat jo karte hain woh
Mohabbat jatate nahin
Dhadkane apne dil ke kabhi
Kisi ko sunate nahin
Kisi ko sunate nahin
Maza kya raha jab ki khud kar diya hon
Mohabbat izhaar apni zubaan se
Nigahon nigahon mein jaadu chalana
Meri jaan seekha hain tumne kahase
O mana ke jane jaha
Laakhon mein tum ek hon
Hamari nigahon ki bhi
Kuch to magar daad do
Kuch to magar daad do
Baharon ko bhi naaz jis phool par tha
Wohi phool humne chuna gulsitan se
Isharon isharon mein dil lene wale
Bataa yeh hunar tune seekha kahase
Nigahon nigahon mein jaadu chalana
Meri jaan seekha hain tumne jahase
Bataa yeh hunar tune seekha kahase
Meri jaan seekha hain tumne jahase
Bataa yeh hunar tune seekha kahase
Meri jaan seekha hain tumne jahase
Bataa yeh hunar tune seekha kahase