Movie name:-Teesri Manzil (1966)
singer : Asha Bhosle, Mohammed Rafi
Actor:- Asha Parekh, Prem Nath, Shammi Kapoor
Lyricist:-Majrooh Sultanpuri
Music Director:-R D Burman
dekhiye saahibo vo koi aur thi
aur ye naazani hai meri, mai inpe marta hu
dekhiye saahibo vo koi aur thi
aur ye naazani hai meri, samajha tha mai ye hai khadi
lekin vaha koi aur thi, inke liye ai mohataram
chheda kisi aur ko tha khuda ki qasam
dekhiye saahibo vo koi aur thi
aur ye naazani hai meri, mai inpe marta hu
logo kehne do isko ye hai koi divaana
mai na jaanu kisi ko itna mera fasana
ek dam galat fasana hai
ek dam galat fasana hai, inse to purana hai apna silsila
dekho to pyaar inko bhi hai
mera khumaar inko bhi hai, inke liye ai mohataram
chheda kisi aur ko tha khuda ki qasam
dekhiye saahibo vo koi aur thi
aur ye naazani hai meri, mai inpe marta hu
mai ne kab isko chaaha kah do itna na pheke
aashiq banane se pehle apni surat to dekhe
surat bhali buri kya hai
surat bhali buri kya hai, sauda to nazar ka hai
sauda pyaar ka, inko kaha gam dosto
rusva huye ham dosto, inke liye ai mohataram
chheda kisi aur ko tha khuda ki qasam
dekhiye saahibo vo koi aur thi
aur ye naazani hai meri, mai inpe marta hu
haay haay dekho to isko bole hi ja raha hai
ulajhi baato me zaalim sabko ulajha raha hai
sach ban gaya agar ulajhan
sach ban gaya agar ulajhan phir kahiye janaab-e-man
meri kya khata, mujh par yaki ab kam sahi
mai saada dil mujrim sahi, inke liye ai mohataram
chheda kisi aur ko tha khuda ki qasam
dekhiye saahibo vo koi aur thi
aur ye naazani hai meri, mai inpe marta hu
dekhiye saahibo vo koi aur thi
aur ye naazani hai meri, mai inpe marta hu