name:-Waah Tera Kya Kehna (2002)
Singer :-Kavita Krishnamurthy, Roop Kumar Rathod
Actor:-Shammi Kapoor, Raveena Tandon, Preeti Jhingiani, Govinda
Lyricist:-Sameer
Music By:-Jatin Pandit, Lalit Pandit
apne rukh se zara parda jo hataaya hamne
aa chaand saa chehra jo mehfil ko dikhaaya hamne
kisi ki aankh jhuk gayi jhuk gayi
kisi ki saans ruk gayi ruk gayi
kahi chilman sarak gaya, kisi ka dil dhadak gaya
kahi chilman sarak gaya, kisi ka dil dhadak gaya
ham aa gaye mehfil me aayega ab maza
aage aage dekhiye hota hai kya
aage aage dekhiye hota hai kya
hota hai kya, hota hai kya, hota hai kya
aage aage dekhiye hota hai kya
aage aage dekhiye hota hai kya
vaah tera kya kehna, arre vaah tera kya kehna
vaah tera kya kehna, vaah vaah tera kya kehna
ham to vo hai jo nazaaro ka pata dete hai
chaand suraj ka sitaaro ka pata dete hai
zid pe aa jaaye to sholo ko bujha dete hai
ham to paani me bhi ik aag laga dete hai
aise aashiq ko
aise aashiq ko ham ungali pe nacha dete hai
ha nacha dete hai, ha nacha dete hai
sirf kehte hi nahi kar ke dikha dete hai
aa tumko is tarah mitaaye ke nishaani na mile
tumko aisi jagah maare jahaan paani na mile
hamko maasum na samajho ki ham chaalaak bhi hai
jitne bhole hai utane hi khatarnaak bhi hai
are ibtadaa-e-ishq hai rota hai kya, rota hai kya
aage aage dekhiye hota hai kya, hota hai kya
aage aage dekhiye hota hai kya
hota hai kya, hota hai kya, hota hai kya
aage aage dekhiye hota hai kya
vaah tera kya kehna, arre vaah tera kya kehna
vaah tera kya kehna, vaah vaah tera kya kehna
aise vaise kaise kaise ho gaye
kaise kaise aise vaise ho gaye
mit gaye hamko zamaane se mitaane vaale
bujh gaye shama ke maanid bujhaane vaale
khaak me mil gaye khud khaak banaane vaale
qatl khud ho gaye talvaar dikhaane vaale
chamak sakte hai ye jugnu ujaala kar nahi sakte
uda ke khaak suraj ko ye andha kar nahi sakte, kaun hai
jo khud ko raah-e-vafa me mita nahi sakte
kabhi vo manzil-e-makasud paa nahi sakte
ye chaar roz ki talvaar baandhane vaale
kabhi hamaare mukaabil me aa nahi sakte
kabhi bhi aa nahi sakte, haan ji haan aa nahi sakte
aagosh me bekhabar sota hai kya, sota hai kya
aage aage dekhiye hota hai kya, hota hai kya
aage aage dekhiye hota hai kya
hota hai kya, hota hai kya, hota hai kya
aage aage dekhiye hota hai kya
khuda kare ke hasino ke baap mar jaaye
aur hamaare vaaste maidaan saaf kar jaaye
vaah tera kya kehna, arre vaah tera kya kehna
vaah tera kya kehna, vaah vaah tera kya kehna
o jaan-e-man jaan-e-man jaan-e-man
jaan-e-man dekh aazmaayi me, moch aa jaayegi kalaayi me
saamane aa jaao jo dulhan banke
jaan de dege munh dikhaayi me
jo achchhe hai unki kahaani bhi achchhi
ladakpan bhi achchha javaani bhi achchhi
tere tir ko kyun na dil me jagah de
tere tir ko kyun na dil me jagah de
nishaana bhi achchha nishaani bhi achchhi
tum apni chaahato ko ek hasin mod do
logo pe tohmate tum lagaanaa chhod do
hota vahi hai jo mazur-e-khuda hota hai
taaqat ka aur gurur ka ab shisha tod do
ye shisha tod do, tum ye shisha tod do
allaah miya ko sab pata hai socha hai kya
aage aage dekhiye hota hai kya
aage aage dekhiye hota hai kya
hota hai kya, hota hai kya, hota hai kya
aage aage dekhiye hota hai kya
aage aage dekhiye hota hai kya
aage aage dekhiye hota hai kya
aage aage dekhiye hota hai kya