Album name:-Arzoo (1965)
Singer:-Mubarak Begum, Asha Bhosle
Actor:-Sadhana, Rajendra Kumar,
Lyricist:-Hasrat Jaipuri
Music By:-Shankar Jaikishan
aadab arz hai taslim aadab arz hai taslim
jab ishk kahi ho jata hai tab aisi halat hoti hai
mahfil me ji ghabrata hai tanhai ki adat hoti hai

jab ishk kahi ho jata hai
ye ishk chupaye chup na saka ye ishk wo chalta jadu hai
haye kuch hosh nahi rahte kayam is ishk pe kiska kabu hai
hai ishk me jokhim itne khoya mahbub ka gesu hai
har janib failti jati hai is ishk ki aisi khusbu hai
chehre se haya ho jati hai kya chiz mohabbat hoti hai
mahfil me ji ghabrata hai tanhai ki adat hoti hai
jab ishk kahi ho jata hai tab aisi halat hoti hai
mahfil me ji ghabrata hai tanhai ki adat hoti hai
jab ishk kahi ho jata hai
awwal to kabhi neend aati nahi aati hai to khwab sataate hai
dasti hai judaai ki ghadiya tanhaayi ke din tadpaate hai
ghutta hai gala rukta hai dam aansu ke diye kharraate hai
sapno me wo milne aate hai gam deke chale bhi jaate hai
har roz ye mele hote hai har roz kayaamat hoti hai
mahfil me ji ghabrata hai tanhai ki adat hoti hai
jab ishk kahi ho jata hai tab aisi halat hoti hai
mahfil me ji ghabrata hai tanhai ki adat hoti hai
jab ishk kahi ho jata hai
aankho me hai lakho afsane khamosh hai lab wo manjil hai
har sans me lakho tufan hai tufan me dil ka sahil hai
arman machalte rahte hai ye dard bada hi katil hai
roke se kayamat ruk jaye par rokna bhi kam muskil hai
dildar ki payasi aanhko ko didar ki hasrat hoti hai