Aag Lagi Tan Man Mein Lyrics

Posted by & filed under , .


Song: Aag Lagi Tan Man Mein
Movie: Aan – 1952
Singer(s): Shamshad Begum

( aag lagi tan-man mein
Dil ko pada thaamna
Raam jaane kab hoga
Sainyaan ji ka saamna ) – 2
Ho

Sooni hai aaj piya mori atariya
Piya mori atariya
Zara deejo kabariya
Dil tadpe jaise bina jal ki machhariya
Zara leejo kabariya
Sooni hai aaj piya mori atariya
Piya mori atariya
Dil tadape jaise bina jal ki machhariya
Zara leejo kabariya
Aan pade mushqil to aaye koi kaam na
Raam jaane kab hoga
Sainyaan ji ka saamna
Hoon

Saajan ki yaad mujhe pal pal sataaye
Mujhe pal pal sataaye
Dekho naina bhar aaye
Tan ka singaar mere man ko na bhaaye
Dekho naina bhar aaye
Saajan ki yaad mujhe pal pal sataaye
Mujhe pal pal sataaye
Tan ka singaar mere man ko na bhaaye
Dekho naina bhar aaye
Pyaar mera ho jaaye kaheen badanaam na
Raam jaane kab hoga
Sainyaan ji ka saamana
Haay

Laagi na chhoote karoon koi bahaana
Karoon koi bahaana
Aaya naazuq zamaana
Dil mera bana piya tera nishaana
Aaya naazuq zamaana
Laagi na chhoote karoon koi bahaana
Karoon koi bahaana
Dil mera bana piya tera nishaana
Aaya naazuq zamaana
Hoye bura ulfat ka dekho anjaam na
Raam jaane kab hoga
Sainyaan ji ka saamana