Acha hai mauka kisne hai roka ho jaaye pyaar zara zara Lyrics

Posted by & filed under , , , , .

name:-Sharada (1957)
singer :Asha Bhosle, Chitalkar Ramchandra
Actor:- Raj Kapoor, Meena Kumari
Lyricist:-Rajinder Krishan
Music By:-Chitalkar Ramchandra

achha hai mauka kisne hai roka, ho jaye pyar zara zara
dekho ji dekho dena na dhokha, hai eaitbar zara zara

dil ka ye bangla rakha hai khali, kab se tumhare liye
hum jante hai karte ho kya kya, tum bhi hamare liye

pyar hai jaga jab se hai langa, naino ka tar zara zara
dekho ji dekho dena na dhokha, hai eaitbar zara zara

duniya hai dariya tum ek lehar ho, mai hu tumhara kinara
humne bhi tumko samjha hua hai, jaan se dil se hamara
jitna tumhe hai utna hume hai, dil ka bukhar zara zara
dekho ji dekho dena na dhokha, hai eaitbar zara zara

rangi rajister kar dunga shadi, duniya jale to jale