Bhagwan Do Ghadi Jara Insaan Ban Ke Dekh Lyrics

Posted by & filed under , .


Song: Bhagwan Do Ghadi Jara Insan Ban Ke Dekh
Movie: Bahaar 1951
Singer(s): Geeta Dutt
Music By: S D Burman
Lyricist(s): Rajendra Krishan

Bhagwan do ghadi jara insan ban ke dekh
Dharti pe char din kabhi (mehman ban ke dekh -2)

O o o o hai jin ko teree yad, (kabhi unaki le khabar – 2)
O aasman wale kabhi (garibo pe kar najar – 2)
Dil me kisi garib kaa arman ban ke dekh
Dharti pe char din kabhi (mehman ban ke dekh – 2)
Bhagwan do ghadi……..

O o o o jo kuchh bhi ho raha hai, (woh teree najar me hai – 2)
Aa dekh meree aas ki naiyya bhanwar me hai
Sab jaante huye bhi naa anjan ban ke dekh
Dharti pe char din, kabhi (mehman ban ke dekh – 2)
Bhagwan do ghadi……..

O o o o tujh ko khabar nahi koyi (kitna nirash hai – 2)
Tinke ki dubte ko (malik talash hai – 2)
Insan ban sake naa toh bhagwan ban ke dekh
Dharti pe char din, kabhi (mehman ban ke dekh – 2)
Bhagwan do ghadi……..