Bula Lo Dar Pe Habib E Khuda Lyrics

Posted by & filed under .


Song: Bula Lo Dar Pe Habib E Khuda
Movie: Aakhri Sajda
Singer(s): Mohammad Rafi
Music By: Sajjad Hussain
Lyricist(s): Mehboob Sarwar

Bula lo dar pe – 2
(Bula lo dar pe habib e
Khuda khuda ke liye) – (2)
Karam ho mujh pe – 4
Karam ho mujh pe shah e
Ambiya khuda ke liye
Bula lo dar pe habib e
Khuda khuda ke liye
Bula lo dar pe

Gam e firaq ne sabr o
Karar chhina hai
Tumhare hijr me
Dushwar mera jina hai
Zah e nasib
Zah e nasib ke
Manzil meri medina hai
Hawa khilaf hai
Majdhar me safina hai
Laga do par ye
Beda mera khuda ke liye
(Bula lo dar pe habib e
Khuda khuda ke liye) – (2)
Bula lo dar pe

Nigah janib e
Rehmat hai ya rasul allah
Nazar me shauk e
Ziyarat hai ya rasul allah
Hayat shama ki
Surat hai ya rasul allah
Medine aau
Medine aau ye
Hasrat hai ya rasul allah
Karo kubul meri
Ilteja khuda ke liye
Bula lo dar pe habib e
Khuda khuda ke liye
Bula lo dar pe

Tumhari yaad me
Aankho to ashq baar karu
Hawas o hosh ke
Daman ko tar tar karu
Tawap e roza e
Aqdat jo ek bar karu
Hazar bar ye dil
Aur jaan nissar karu
Wahi ho aakhri sajda
Ada khuda ke kiye
(Bula lo dar pe habib e
Khuda khuda ke liye) – (2)
Bula lo dar pe

Karam ho mujh pe – 4
Ya rasul allah – 3