Album name : Laila Majnu (1953)
Singer :-Khan Mastana, Mohammed Rafi
Lyricist :- Shakeel Badayuni
Music :- Ghulam Mohammad
bulbul me hai nagame tere gul me teri bu hai
har say me tera nur hai har chis me tu hai
aankho me hai tu sanso me hai tu dil se tera jalva dur nahi
aankho me hai tu sanso me hai tu dil se tera jalva dur nahi
beparda mai dekhu husn tera beparda mai dekhu husn tera
ye baat mujhe manjur nahi beparda mai dekhu husn tera
ye baat mujhe manjur nahi
har ek jarre pe likha hai teri ulfat ka fasana
vo dil bekar hai ya rab na ho jo tera diwana
kasam hai tujhko mere dil ki halat puch le mujhse
karam se tere kuch mushkil nahi bighadi ka ban jana
ya bana de kaam apna ya dil se mita de naam apna
ya bana de kaam apna ya dil se mita de naam apna
ya dil se mita de naam apna
sajde bhi kare sikve bhi kare bando ka tere dastur nahi
aankho me hai tu sanso me hai tu dil se tera jalva dur nahi
tajli hai teri ye chand kya hai chandni kya hai
agar najre salamt hai to jalvo ki kami kya hai
lbo par naam hai tera dilo me yaad hai teri
mohobbat ka fasana hai hamari jindagi kya hai
ghut ghut ke sada hum marte hai ghut ghut ke sada hum marte hai
ghut ghut ke sada hum marte hai kab tujhse sikayt karte hai
ghut ghut ke sada hum marte hai kab tujhse sikayt karte hai
kab tujhse sikayt karte hai marji hai teri jo chahe kare
mukhtar hai tu majbur nahi marji hai teri jo chahe kare
mukhtar hai tu majbur nahi
aankho me hai tu sanso me hai tu
aankho me hai tu sanso me hai tu
dil se tera jalva dur nahi
dil se tera jalva dur nahi
dil se tera jalva dur nahi
aankho me hai tu sanso me hai tu
lyrics type by : sushma deshwal