Dev Speaks Lyrics

Posted by & filed under , .

Singer: Amitabh Bachchan
Movie / Album: Dev (2004)
Actor: Amitabh Bachchan

mudda ye nahi hain ki
main jitunaga ya harunga
mudda ye bhi nahi hain ki
main jiyunga ya maar diya jaunga

mudda ye hain ki ek police afser
hone ke naate mera jo farz hain
use main imaandaari se
nibha raha hu ya nahi

ek insan hone ke naate
saty ke liye saty ke vijay ke liye
main lad raha hu ya nahi

saamne me vijay ho ya paraajay
yoddha ka dharm hain ladnaa
aakhri saans tak khun ke aakhri
katre tak ladnaa

saty aur insaaf ke liye
sattra sanghrsh karte rahna