Dil Ne Dil Se Kya Kaha Lyrics

Posted by & filed under , .


Song: Dil Ne Dil Se Kya Kaha
Movie: Aaina (1993)
Singer(s): Nitin Mukesh
Music By: Dilip Sen-Sameer Sen
Lyricist(s): Sameer

Dil ne dil se kya kaha, sun jara sun jara
De raha hai kya sada, sun jara sun jara

(Dil ne dil se kya kaha, sun jara sun jara
De raha hai kya sada, sun jara sun jara
Mausam bahaaron ka aare aa, aare aa, aare aa) – (2)
Dil ne dil se kya kaha, sun jara

Pehali mulaakaat mein main toh teri ho gayi
Tere hi khayaalon mein saathiya main kho gayi
Chaahata hoon aaj main saare bhed khol du
Abb talak na jo kaha aaj tujhase bol du
Matlab ishaaron ka aare aa, aare aa, aare aa
Dil ne dil se kya kaha, sun jara sun jara
De raha hai kya sada, sun jara

Maang teri bhar du main, julf ko sawaar du
Jitana tu kahe sanam utana tujhko pyaar du
Tere mere pyaar ka ek naya sansaar ho
Farsh ho armaano ka, sapano ki deewaar ho
Aangan sitaaron ka aare aa, aare aa, aare aa
Dil ne dil se kya kaha, sun jara sun jara
De raha hai kya sada, sun jara sun jara
Mausam bahaaron ka aare aa, aare aa, aare aa
Dil ne dil se kya kaha, sun jara sun jara
De raha hai kya sada, sun jara